home.social

#shair — Public Fediverse posts

Live and recent posts from across the Fediverse tagged #shair, aggregated by home.social.

fetched live
  1. Ek teri barabari ke liye
    Khud ko kitna gira chuka hun main

    #JaunEliya #shair
    Death anniversary

  2. #shair celebrates the bitth anniversary of
    #Akbar Allahabadi

    Akbar Allahabadi, in a letter to his friend, requesting him to send some mangoes during the mango season

    naamaa na koii yaar ko paiGaam bhejiye
    is fasl meN kuchh bhejiye to bas aam bhejiye
    aise zaroor hoN ki unheN rakh ke khaa sakooN
    puKhtaa agar hoN bees to das Khaam bhejiye

    maaloom hii hai aap ko bande kaa "address"
    seedhe "allahabad" mere naam bhejiye
    aisaa na ho ki aap kaheN jawaab meN
    taameel hogii pehale magar daam bhejiye

  3. तुम अपना रंज-ओ-ग़म अपनी परेशानी मुझे दे दो
    तुम्हें ग़म की क़सम इस दिल की वीरानी मुझे दे दो
    ~साहिर लुधियानवी

    t.co/uxxYd37Jv1?amp=1

    #poetry #Shair

  4. Kyun ziaan kaar banun, sood framosh rahoon
    Fikr-e-farda na karun, mahw-e-ghum-e-dosh rahoon

    Naale bulbul ke sunoon, aur hama tan gosh rahoon
    Hamnawa, main bhi koi gul hoon ke khamosh rahoon

    #shair Allama #Iqbal birth anniversary

  5. @ranasafvi I am so glad you are here with #shair & shayari, can't survive without poetry.

  6. Zaat hai, aitbaar-i-zaat nahin
    Ab to main khud bhi apne saath nahin
    (The self is here, equivocally/
    I, myself, am not with me anymore)

    #shair pays tribute to Jaun Eliya on his death anniversary

  7. Aur to kya thaa bechne ke liye......
    Apni aankhon ke khwaab beche hain..

    #JaunEliya #Shair death anniversary